Quantcast
Channel: Ghazal Shayari – Ranjish.com
Browsing latest articles
Browse All 419 View Live

tujh ko gilaa hai tera muqaddar nahin hua

tujh ko gilaa hai tera muqaddar nahin hua main apne aap ko bhi muyassar nahin hua hona na hona maine rakha apne hath main dum bhar jahan main ho gaya dum bhar nahin hua socha ke apne jism se bahar bhi...

View Article


sabzz baaghon ki virasat ka baRa fayeda hai

sabzz baaghon ki virasat ka baRa fayeda hai hum faqeeron ko aqeedat ka baRa fayeda hai ik bhale shakhss ne hum par yeh haqeeqat kholi hum samajhte thay mohabbat ka baRa fayeda hai log to aag lagane se...

View Article


zabt-e-girya main bhi girya to kiya hai maine

zabt-e-girya main bhi girya to kiya hai maine chup raha hoon par tamasha to kiya hai maine ab uRaaunga usay tere falak par ik din apni miTi ko ikaTha to kiya hai maine dekhiye kis ke khad-o-haal nazar...

View Article

itni na apne naam ki har suu duhayi de

itni na apne naam ki har suu duhaayi de jitna tujhe main sun sakoon utna sunayi de mujh ko kisi bhi haal main khalqat ke sath rakh jin ko khudayi chahiye un ko khudayi de dekhe ga teergi main koi dil...

View Article

aisi wehshat pe main qurban bhi ho sakta hoon

aisi wehshat pe main qurban bhi ho sakta hoon main jo darya hoon bayabaan bhi ho sakta hoon hansne rone ke ilawa bhi rasayi hai meri main agar chahoon to hairaan bhi ho sakta hoon main ke jis khaak...

View Article


mera nahin to woh apna hi kuch khayal kare

mera nahin to woh apna hi kuch khayal kare usay kaho ke taluq ko phir bahaal kare nigah e yaar na ho to nikhr nain paata koi jamal ki jitni bhi dekhbhaal kare mile to itni reyayat ataa kare mujh ko...

View Article

thak ke bethoon to mujhe rasta nazar aye ga

thak ke bethoon to mujhe rasta nazar aye ga shaam is dasht main guzre gi to ghar aye ga soch kar meri mohabbat main qadam rakhna tum is se aage to bohat lamba safar aye ga muntazir aankhen kisi taaq...

View Article

tujh se ab dard ka rishta bhi nahin chahiye hai

tujh se ab dard ka rishta bhi nahin chahiye hai ja mujhe teri tamanna bhi nahin chahiye hai dekh kuch bhi na sakoon main kisi saye ke siwa raushni itni zeyada bhi nahin chahiye hai ik nazar tishna e...

View Article


kaam is dil ki tabahi se liya kya jaye

kaam is dil ki tabahi se liya kya jaye sochta hoon ke kharabe main kiya kya jaye ae kisi yaad ki khiRki se guzarte mausam kya diya jaye tujhe aur liya kya jaye is garebaan ko kisi mauj main aa kar...

View Article


kabhi dadi kabhi nani se alag kar diye gaye

kabhi dadi kabhi nani se alag kar diye gaye bache pariyon ki kahani se alag kar diye gaye kachi umaron main humen kaam par laga diya gaye hum woh bache jo jawani se alag kar diye gaye jung laRne ke...

View Article
Browsing latest articles
Browse All 419 View Live