Quantcast
Channel: Ghazal Shayari – Ranjish.com
Viewing all 419 articles
Browse latest View live

Apna gham le ke kahin aur na jaya jaye..

$
0
0

nida fazli poetry

Apna gham le ke kahin aur na jaya jaye,
Ghar main bikhri hui cheezon ko sajaya jaye,

Jin charaaghon ko hawaon ka koi khauf nahin,
Un charaaghon ko hawaon se bachaya jaye,

Khud-kushi karne ki himmat nahin hoti sab main,
Aur kuch din abhi auron ko sataaya jaye,

Baagh main jaane ke adaab hua karte hain,
Kisi titlee ko na pholoon se urraaya jaye,

Kya hua sheher ko kuch bhi to dikhayi de kahin,
Yuun kiya jaye kabhi khud ko rulaaya jaye,

Ghar se masjid hai bohat door chalo yuun kar len,
Kisi rotay huye bache ko hansaaya jaye..…

The post Apna gham le ke kahin aur na jaya jaye.. appeared first on Ranjish.com.


Assar us ko zara nahin hota..

$
0
0

tum hamare kisi tarah na huye

Assar us ko zara nahin hota,
Ranj rahat-faza nahin hota,

Bewafa kehne ki shikayet hai,
To bhi vaada-wafaa nahin hota,

Zikr-e-aghyaar se hua maloom,
Harff-e-naseh bura nahin hota,

Kis ko hai zauq-e-talkhh-kami laik,
Jang bin kuch maza nahin hota,

Tum hamare kisi tarah na huye,
Warna duniya main kya nahin hota,

Us ne kya jaane kya kiya le kar,
Dil kisi kaam ka nahin hota,

Imtihaan kijiye mera jab tak,
Shauq zor-aaazmaa nahin hota,

Ek dushman ki charkhh hai na rahe,
Tujh se yeh ay duaa nahin hota,

Aah tul-e-amal hai roz-fuzuun,
Garche ik muddaaa nahin hota,

Tum mere paas hote ho goya,
Jab koi doosra nahin hota,

Haal-e-dil yaar ko likhoon kyun-kar,
Haath dil se judaa nahin hota,

Rehm bar-khasm-e-jaaan-e-ghaiyr na ho,
Sab ka dil aik saa nahin hota,

Daaman us ka jo hai daraaz to ho,
Dasst-e-aashiq rasaa nahin hota,

Chara-e-dil siwaaye sabr nahin,
So tumhare siwaa nahin hota,

Kyun sunay arzz-e-muzztar ae momin,
Sanam aakhir khudaa nahin hota..…

The post Assar us ko zara nahin hota.. appeared first on Ranjish.com.

Ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya..

$
0
0

ghazab kiya tere vaade pe aitbar kiya

Ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya,
Tamaam raat qayamat ka intezaar kiya,

Kisi tarah jo na us buut ne aitbaar kiya,
Meri wafa ne mujhe khoob sharamsaar kiya,

Hansaa-hansaa ke shabb-e-vassl ashk-baar kiya,
Tasalliyan mujhe de de ke beqaraar kiya,

Yeh kis ne jalva hamare sar-e-mazaar kiya,
Ke dil se shor utha haaye beqaraar kiya,

Suna hai tegh ko qatil ne aabdaar kiya,
Agar yeh sach hai to be-shubaah hum pe vaar kiya,

Na aaye raah pe woh ijz beshumaar kiya,
Shabb-e-vassl bhi maine to intezaar kiya,

Tujhe to vaaada-e-dedaaar hum se karna tha,
Yeh kya kiya ke jahan ko umeedvaar kiya,

Yeh dil ko taab kahan hai ke ho maal-andesh,
Unhon ne vaada kiya is ne aitbaar kiya,

Kahan ka sabr ke damm par hai bad gayi zaalim,
Ba tang aaye to hal-e-dill ashkaar kiya,

Tarap phir ay dill-e-nadaan ke ghair kehte hain,
Aakhir kuch na bani sabr ikhtiyaar kiya,

Mile jo yaar ki shokhi se us ki bechaini,
Tamaam raat dill-e-muztarib ko pyaar kiya,

Bhula-bhula ke jataya hai un ko raz-e-nihaan,
Chupaachupaa ke mohabbat ko aashkaar kiya,

Na us ke dil se mitaaya ke saaf ho jata,
Saba ne khaak pareshaan mera ghubaar kiya,

Hum aese mehvvv-e-nazaara na they jo hosh ata,
Magar tumhare taghaaful ne hoshyaar kiya,

Hamare seenay main jo reh gayi thi aatish-e-hijar,
Shabb-e-visaaal bhi us ko na hum-kanaar kiya,

Raqeeeb-o-sheva-e-ulffat khuda ki qudrat hai,
Woh aur ishq bhalaaa tum ne aitbaar kiya,

Zaban-e-khar se nikli sadaaaa-e-bismillah,
Junoon ko jab sare-shorida par savaar kiya,

Teri nigaah ke tasawur main hum ne aey qatil,
Laga laga ke gale se chhuri ko pyaar kiya,

Ghazab ki kasssrat-e-mehhfil ke main ne dhoke main,
Hazaar baar raqeebon ko hum-kanaar kiya,

Hua hai koi magar us ka chahne wala,
Ke aasman ne tera sheva ikhtiyaar kiya,

Na pooch dil ki haqeeqat magar yeh kehte hain,
Woh beqaraar rahe jis ne beqaraar kiya,

Jab un ki tarz-e-sitam aa gayi to hosh aya,
Bura ho dil ka bure waqt hoshyaar kiya,

Fasaaana-e-shabb-e-ghamm un ko ik kahani thi,
Kuch aitbaar kiya kuch na aitbaar kiya,

Aseeri dill-e-ashufta rang la ke rahi,
Tamaam turra-e-tarrar taar-taar kiya,

Kisi ke ishq-e-nihaan main yeh badgumaani thi,
Ke darte-darte khuda par bhi aashkaar kiya,

Falak se taur qayamat ke ban na parrte they,
Aakhir ab tujhe ashobb-e-rozgaaar kiya,

Woh baat kar jo kabhi aasman se ho na sake,
Sitam kiya to barra tu ne iftikhar kiya,

Bane ga meher-e-qayaaamat bhi aik khal-e-siyah,
Jo chehra ‘daagh-e-siyaahru’ ne aashkaar kiya..

The post Ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya.. appeared first on Ranjish.com.

Na sahi gar unhen khayal, na sahi..

$
0
0

hasrat mohani poetry

Na sahi gar unhen khayal, na sahi,
Ke hamara bhi ab woh haal nahin,

Yaad unhe vaada-e-visaaal nahin,
Kab kiya tha yehi khayal nahin,

Aese bigrre woh sun ke shauq ki baat,
Aaj tak hum se bol-chaaal nahin,

Mujh ko ab gham yeh hai ke baad mere,
Khaatir-e-yaaar be-malaaal nahin,

Afv-e-haqq ka hai maii-kashon pe nuzuul,
Rezish-e-abr-e-barshagaal nahin,

Sun ke mujh se woh khawihsh-e-paa-bos,
Hansss ke kehne lage majaal nahin,

Dil ko hai yaad shauq ka woh hunar,
Jis se barrh kar koi kamaal nahin,

Aap naadim na hon ke hassrat se,
Shikva-e-ghamm ka ehtimaal nahin..…

The post Na sahi gar unhen khayal, na sahi.. appeared first on Ranjish.com.

Hum ne sab sher main sanwaare thay..

$
0
0

faiz ahmad faiz poetry

Hum ne sab sher main sanwaare thay,
Hum se jitne sukhan tumhare thay,

Rangg-o-khushhbuu ke husssn-o-khuubi ke,
Tum se thay jitne isti-yare thay,

Tere qaull-o-qaraaar se pehle,
Apne kuch aur bhi sahaare thay,

Jab woh laaal-o-gohhar hisaab kiye,
Jo tere gham ne dil pe vaaray thay,

Mere daaman main aa gire saare,
Jitne tashht-e-fallakk main taare thay,

Ummar-e-javved ki duaa karte,
Faiz itne woh kab hamare thay..…

The post Hum ne sab sher main sanwaare thay.. appeared first on Ranjish.com.

Haal-e-gham un ko sunaate jayiye..

$
0
0

khumar barabankvi poetry

Haal-e-gham un ko sunaate jayiye,
Shart yeh hai muskuraate jayiye,

Aap ko jaate na dekha jaye ga,
Shamaaa kp pehle bujhaate jayiye,

Shukria lutff-e-musalssal ka magar,
Gaahe-gaahe dil dukhaate jayiye,

Dushmanon se pyaar hota jaaye ga,
Doston ko aazmaate jayiye,

Roshni mehdood ho jin ki ‘khumar’,
Un charaaghon ko bujhaate jayiye..…

The post Haal-e-gham un ko sunaate jayiye.. appeared first on Ranjish.com.

Woh shaks kabhi jis ne mera ghar nahin dekha..

$
0
0

dilawar figar poetry

Woh shakhss kabhi jis ne mera ghhar nahin dekha,
Us shakhss ko maine kabhi ghhar par nahin dekha,

Kya dekho ge haall-e-dill-e-barbaaad ke tum ne,
Curfew main mere sheher ka manzzar nahin dekha,

Jaan dene ko pohanche thay sabhi teri gali main,
Bhaage to kisi ne bhi palatt kar nahin dekha,

Daarrhi tere chehre pe nahin hai to ajab kya,
Yaaron ne tere paitt ke andar nahin dekha,

Tafreeh yeh hoti hai ke ham saer ki khaatir,
Saahil pe gaye aur samandar nahin dekha,

Footpath pe bhi ab nazar aate hain commissioner,
Kya tum ne koi ‘oath commissioner‘ nahin dekha,

Afsos ke ik shakhss ko dil dene se pehle,
Mattke ki tarah thonk-bajaaa kar nahin dekha..…

The post Woh shaks kabhi jis ne mera ghar nahin dekha.. appeared first on Ranjish.com.

Ishq ko be-naqaaab hona tha..

$
0
0

jigar moradabadi poetry

Ishq ko be-naqaaab hona tha,
Aap apna jawaab hona tha,

Masst-e-jaaam-e-sharaaab hona tha,
Be-khudd-e-izztiraab hona tha,

Teri ankhon ka kuch qasoor nahin,
Haan mujhi ko kharaab hona tha,

Aao mil jaao muskura ke gale,
Ho chuka jo itaab hona tha,

Kuchaaa-e-ishq main nikal aaya,
Ji ka khaana-kharab hona tha,

Hum ne nakaamiyon ko dhoond liya,
Aaakhrish kaamyaab hona tha,

Haaye woh lamhaaa-e-sukooon ke jisse,
Mehshhar-e-iztiraab hona tha,

Nigaaah-e-yaaar khud tarrap uthi,
Shartt-e-awwall kharaab hona tha,

Kyun na hota sitam bhi be-payan,
Karamm-e-behisaab hona tha,

Kyun nazar hairaton main doob gayi,
Maujj-e-sadd-iztiraab honaa tha,

Ho chukaa rozz-e-avvaleen hi ‘jigar’,
Jis ka jitna kharaab hona tha..…

The post Ishq ko be-naqaaab hona tha.. appeared first on Ranjish.com.


Kab thehre ga dard aye dil kab raat bassar hogi..

$
0
0

Kab thehre ga dard aye dil kab raat bassar hogi,
Suntay thay woh aayen ge suntay thay sehar hogi,

Kab jaan lahuu hogi kab ashk guhar hoga,
Kis din teri shunvaayi ae deedaa-e-tar hogi,

Kab mehke gi fassl-e-gull kab behke ga maii-khaana,
Kab subhh-e-sukhann hogi kab shaamm-e-nazzar hogi,

Waayez hai na zahid hai naseh hai na qaatil hai,
Ab shehr main yaron ki kis tarah bassar hogi,

Kab tak abhi raah dekhen ae qaamat-e-jaanana,
Kab hashar muyayyan hai tujh ko to khabar hogi..…

The post Kab thehre ga dard aye dil kab raat bassar hogi.. appeared first on Ranjish.com.

Insha ji utho ab kuuch karo..

$
0
0

insha ji utho ab kooch karo

Insha ji utho ab koooch karo is sheher main jee ko lagana kya,
Wehshi ko sukoon se kya matlab jogi ka nagar main thikaana kya,

Is dil ke dareeda daaman ko dekho to sahi socho to sahi,
Jis jholli main sau chhaid huye us jholli ka phailaana kya,

Shabb-beeti chaand bhi doob chala zanjeer parri darwaaze main,
Kyun dair gaye ghar aaye ho sajni se karo ge bahaana kya,

Phir hijr ki lambi raat miyan sanjog ki to yehi ek gharri,
Jo dil main hai labb par aanay do sharmaana kya ghabraana kya,

Us roz jo un ko dekha hai ab khawb ka aalam lagta hai,
Us roz jo un se baat hui woh baat bhi thi afsaana kya,

Us hussn ke sache moti ko hum dekh saken par chhuu na saken,
Jisse dekh saken par chhuu na saken woh daulat kya woh khazaana kya,

Jab sheher ke log na rasta dain kyun ban main na ja bisraam kare,
Deewaanon ki si na baat kare to aur kare deewana kya..…

The post Insha ji utho ab kuuch karo.. appeared first on Ranjish.com.

Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai..

$
0
0

jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai

Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai,
Sang har shakhss ne hathon main utha rakha hai,

Us ke dil par bhi karri ishq main guzri ho gi,
Naam jis ne bhi mohabbat ka saza rakha hai,

Pathro aaj mere sar pe baraste kyun ho,
Main ne tum ko bhi kabhi apna khuda rakha hai,

Ab meri deed ki duniya bhi tamashaayi hai,
Tu ne kya mujh ko mohabbat main bana rakha hai,

Pi ja ayaam ki talkhi ko bhi hanss kar nasir,
Gham ko sehne main bhi qudrat ne maza rakha hai..…

The post Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai.. appeared first on Ranjish.com.

Koshish bhi kar umeed bhi rakh..

$
0
0

Nazdeekiyon main door ka manzzar talash kar,
Jo haath main nahin hai woh pathar talash kar,

Suraj ke ird-gird bhattakne se faayed,
Dariya hua hai gum to samandar talash kar,

Tareekh main mahal bhi hai haakim bhi, takht bhi,
Gumnaam jo huye hain woh lashkar talash kar,

Rehta nahin hai kuch bhi yahan ek sa sadaaa,
Darwaaza ghar ka khol ke phir ghar talash kar,

Koshish bhi kar umeed bhi rakh raasta bhi chun,
Phir us ke baad thora muqaddar talaash kar..…

The post Koshish bhi kar umeed bhi rakh.. appeared first on Ranjish.com.

Aqqal ggo aastaan se door nahin..

$
0
0

allama iqbal poetry

Aqqal ggo aastaan se door nahin,
Us ki taqdeer main huzoor nahin,

Dill-e-beena bhi kar khuda se talabb,
Aankh ka noor dil ka noor nahin,

Ilm main bhi suroor hai lekin,
Yeh woh jannat hai jis main huur nahin,

Kya ghazab hai ke is zamaane main,
Ek bhi saahib-e-surooor nahin,

Ik junoon hai ke baa-shauur bhi hai,
Ik junoon hai ke baa-shauur nahin,

Na-suburi hai zindagi dil ki,
Aah woh dil ki na-subuur nahin,

Be-huzuri hai teri maut ka raaz,
Zinda ho tu to be-huzur nahin,

Har gohar se sadaf ko torr diya,
Tu hi aamaada-e-zuhuur nahin,

Areni main bhi keh raha hoon magar,
Yeh hadeess-e-kalimm-o-tuur nahin..…

The post Aqqal ggo aastaan se door nahin.. appeared first on Ranjish.com.

Phir kuch ik dil ko be-qaraari hai..

$
0
0

mirza ghalib poetry

Phir kuch ik dil ko be-qaraari hai,
Seena juyaa-e-zakhamm-e-kaari hai,

Phir jigar khodne laga naakhun,
Ammad-e-fassl-e-lala-kaari hai,

Qibla-e-maqssad-e-nigaaah-e-niyaz,
Phir wohi pardaa-e-amaari hai,

Chashmm dallal-e-jinss-e-rusvaayi,
Dil khareedaar-e-zauqq-e-khwaari hai,

Dil havaa-e-khiramm-e-naz se phir,
Mehshar sitan-e-be-qaraaari hai,

Jalva phir arz-e-naaz karta hai,
Roz bazaar-e-jaaan-sipaari hai,

Phir ussi bewafa pe marte hain,
Phir wohi zindagi hamari hai,

Ho raha hai jahaan main andher,
Zulf ki phir sirishta-dari hai,

Phir huye hain gavaah-e-ishq talab,
Ashkbaari ka hukm-jaari hai,

Dil-o-mizahgaan ka jo muqadamma tha,
Aaj phir us ki ru-bukaari hai,

Be-khudi be-sabbab nahin ghalib,
Kuch to hai jis ki pardaa-dari hai..…

The post Phir kuch ik dil ko be-qaraari hai.. appeared first on Ranjish.com.

Ganwayi kis tamanna main zindagi main ne..

$
0
0

jaun elia poetry

Ganwayi kis tamanna main zindagi main ne,
Woh kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne,

Tera khayal to hai pr tera wajood nahin,
Tere liye to yeh mehfil sajaayi main ne,

Tere adam ko gavaara na tha wajood mera,
So apni bekh-kanni main kammi na ki main ne,

Hai meri zaat se mansuub sadd-fasaaana-e-ishqq,
Aur ek satar bhi ab tak nahin likhi main ne,

Khud apne ishvaa-o-andaaz ka shahid hoon main,
Khud apni zaat se barti hai be-rukhi main ne,

Mere hareef meri yakka-taziyon pe nisaar,
Tamaam umar haleefon se jangg ki main ne,

Kharashh-e-naghmaa se seena chhila hua hai mera,
Fughaan ki tark na ki naghma-parvari main ne,

Davaa se fayeda maqsuud tha hi kab ke faqat,
Davaa ke shauq main sehat tabaah ki main ne,

Zabaana-zan tha jigarr-sozz tishnagi ka azaab,
So jauf-e-seena mein unddail li main ne,

Suruur-e-maii pe bhi ghalib raha shaoor mera,
Ki har riyayet-e-ghamm zehn main rakhi main ne,

Gham-e-shaoor koi damm to mujh ko mohlat de,
Tamaam umar jalaya hai apna jee main ne,

Ilaaj yeh hai ke majboor kar diya jaaon,
Wagarna yuun to kisi ki nahin suni main ne,

Raha main shahid-e-tanhaaa nashinn-e-masnadd-e-gham,
Aur apne karb-e-anaa se gharazz rakhi main ne..…

The post Ganwayi kis tamanna main zindagi main ne.. appeared first on Ranjish.com.


Hamare dil main ab talkhi nahin hai..

$
0
0

javed akhtar poetry

Hamare dil main ab talkhi nahin hai,
Magar woh baat pehle si nahin hai,

Mujhe mayuus bhi karti nahin hai,
Yehi aadat teri achi nahin hai,

Bohat se fayede hain maslehat main,
Magar dil ki to yeh marzi nahin hai,

Har ik ki dastaan sunte hain jaise,
Kabhi hum ne mohabbat ki nahin hai,

Hai ik darwaze bin deewaar-e-duniyaa,
Maffar gham se yahan koi nahin hai..…

The post Hamare dil main ab talkhi nahin hai.. appeared first on Ranjish.com.

Koi faisla to ho ke kidar jana chahiye..

$
0
0

koi faisla to ho parveen shakir

Koi faisla to ho ke kidar jana chahiye,
Paani ko ab to sar se guzar jana chahiye,

Har baar erriyon pe gira hai mera lahuu,
Maqtal main ab ba-tarzz-e-digar jana chahiye,

Kya chal saken ge jin ka faqat masla yeh hai,
Jaane se pehle rakht-e-safar jana chahiye,

Jab bhi gaye azaab-e-dar-o-baaam tha wohi,
Akhir ko kitni dair se ghar jana chahiye,

Tohmat laga ke jo maaan pe dushman se daad le,
Aese sukhann-faroshh ko mar jana chahiye..…

The post Koi faisla to ho ke kidar jana chahiye.. appeared first on Ranjish.com.

Mil hi jaye ga kabhi dil ko yakeen rehta hai..

$
0
0

Ahmad Mushtaq Poetry

Mil hi jaye ga kabhi dil ko yakeen rehta hai,
Woh isi sheher ki galiyon main kaheen rehta hai,

Jis ki saanson se mehekte thay dar-o-baam tere,
Ae makaan bol kahan ab woh makeen rehta hai,

Ik zamana tha ke sab aik jagah rehte thay,
Aur ab koi kaheen, koi kaheen rehta hai,

Roz milne pe lagta tha ke jagg beet gaye,
Ishq main waqt ka ehsaas nahin rehta hai,

Dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin,
Umar bhar kon jawaan kon haseen rehta hai..…

The post Mil hi jaye ga kabhi dil ko yakeen rehta hai.. appeared first on Ranjish.com.

Jab tera hukm mila tark mohabbat kar di..

$
0
0

jab tera hukm mila

Jab tera hukm mila tark mohabbat kar di,
Dil magar is pe woh dharrkaa ke qayamat kar di,

Tujh se kis tarah main izhaar-e-tamanna karta,
Lafz soojha to maani ne baghawat kar di,

Main to samjha tha ke laut aate hain jane wale,
Tu ne ja kar to judayi meri qismat kar di,

Mujh ko dushman ke iraadon pe bhi pyar ata hai,
Teri ulfat ne mohabbat meri aadat kar di,

Pooch betha hoon main tujh se tere kuchay ka pata,
Tere halaat ne kesi teri surat kar di,

Kya tera jism tere husn ki hiddat main mubtlaa,
Raakh kis ne tere sonay ki si rangat kar di..…

The post Jab tera hukm mila tark mohabbat kar di.. appeared first on Ranjish.com.

Honton pe mohabbat ke fasaane nahin aate..

$
0
0

Bashir Badr Poetry

Honton pe mohabbat ke fasaane nahin aate,
Sahil pe samandar ke khazaane nahin aate,

Palken bhi chamak uthti hain sone main hamari,
Ankhon ko abhi khawb chupaane nahin aate,

Dil ujrri hui aik saraaye ki tarah hai,
Ab log yahan raat jagaane nahin aate,

Yaaro naye mausam ne yeh ehsaan kiye hain,
Ab yaad mujhe dard puraane nahin aate,

Urrne do parindon ko abhi shokh hawaa main,
Phir lautt ke bachpan ke zamaane nahin aate,

Is sheher ke baadal teri zulfon ki tarah hain,
Yeh aag lagaate hain bujhaane nahin aate,

Ehbaab bhi ghairon ki adaaa seekh gaye hain,
Aate hain magar dil ko dukhaane nahin aate..…

The post Honton pe mohabbat ke fasaane nahin aate.. appeared first on Ranjish.com.

Viewing all 419 articles
Browse latest View live