Quantcast
Channel: Ghazal Shayari – Ranjish.com
Viewing all 419 articles
Browse latest View live

Shikwa karen to kis se shikayet karen to kya..

$
0
0

Munir Niazi Poetry

Shikwa karen to kis se shikayet karen to kya,
Ik raayegaan amal ki reyazat karen to kya,

Jis sheyy ne khatam hona hai akhir ko aik din,
Us sheyy ki itne dukh se hifazat karen to kya,

Maani nahin munir kisi kaam main yahan,
Itaat karen to kya, baghaawat karen to kya..…

The post Shikwa karen to kis se shikayet karen to kya.. appeared first on Ranjish.com.


Yeh meri umar, mere maah o saal de us ko..

$
0
0

Noshi gilani poetry

Yeh meri umar, mere maah-o-saal de us ko,
Mere khuda mere dukh se nikaal de us ko,

Woh chup kharra hai keyi din se teri khatir to,
Kawaarr khol de azn-e-sawaal de us ko,

Azaab-e-badnazri ka jise shauur na ho,
Yeh meri aankhen, mere hadh-o-haal de us ko,

Yeh dekhna shab-e-hijraan ke kis ki dasstak hai,
Visaal rut hai agar woh, to ttaal de us ko,

Woh jis ka harf-e-duaa roshni hai mere liye,
Main bujh bhi jaaon to maula ujaal de us ko..…

The post Yeh meri umar, mere maah o saal de us ko.. appeared first on Ranjish.com.

Narm lehje main tahammul se zara baat karo..

$
0
0

aik mudat se poetry

Narm lehje main tahammul se zara baat karo,
Phir ba-sad-e-shauq sar-e-aam mujhe maat karo,

Ya nisaar aaj karo mujh pe tamaam apne hunar,
Ya nazar-band mere saare kamalaat karo,

Main riwayat se baaghi to nahin hoon lekin,
Tum se mumkin ho to tabdeel-e-khayalaat karo,

Ek muddat se mere dil ka nagar hai veeraan,
Aao is dasht pe tum phoolon ki barsaat karo,

Fasl ujaalon ki siyah-e-bakht zameen uglegi,
Zar-nigar apne zara kashf-o-karamaat karo,

Is tarah mil ke bicharrna to qayamat ho ga,
Mushtayil tum na meri jaan mere jazbaat karo,

Be-niyaazi to mila karti hai duniya se khayal,
Tum kisi taur na tajdeed-e-gham-e-zaat karo..…

The post Narm lehje main tahammul se zara baat karo.. appeared first on Ranjish.com.

Yeh barson ka taluq torr dena chahte hain hum..

$
0
0

Yeh barson ka taluq

Yeh barson ka taluq torr dena chahte hain hum,
Ab apne aap ko bhi chorr dena chahte hain hum,

Kisi dehleez pr ankhon ke yeh roshan diye rakh kar,
Zameeer-e-subh ko jhinjhorr dena chahte hain hum,

Jidhar hum ja rahe hain us taraf toot’ta hua pull hai,
Yeh baaagen is se pehle morr dena chahte hain hum,

Yeh naubat kal jo aani hai to sharminda nahin hon ge,
Maraasim ehtiyatan torr dena chahte hain hum,

Ajab deewangi hai jis ke hum saaye main bethe hain,
Usi deewar se sar phorr dena chahte hain hum,

Taluq kirchiyon ki shakal main bikhraa to hai phir bhi,
Shikasta aayinon ko jorr dena chahte hain hum..…

The post Yeh barson ka taluq torr dena chahte hain hum.. appeared first on Ranjish.com.

Jeene wale qazaa se darte hain..

$
0
0

Shakeel Badayuni Shayari

Jeene wale qazaa se darte hain,
Zehar pee kar davaa se darte hain,

Zahidon ko kisi ka khauf nahin,
Sirf kaali ghataa se darte hain,

Aap jo kuch kahen humen manzoor,
Naik bande khudaa se darte hain,

Dushmanon ke sitam ka khauf nahin,
Doston ki wafaa se darte hain,

Azzam o himmat ke bawjood shakeel,
Ishq ki ibtidaa se darte hain..…

The post Jeene wale qazaa se darte hain.. appeared first on Ranjish.com.

Kitne aish se rehte hon ge kitne itraate hon ge..

$
0
0

Kitne aish se rehte hon ge kitne itraate hon ge,
Jaane kese log woh hon ge jo us ko bhaate hon ge,

Shaam huye khush-bash yahan ke mere paas aa jate hain,
Mere bujhne ka nazaara karne aa jate hon ge,

Woh jo na aanay wala hai na us se mujh ko matlab tha,
Aanay walon se kya matlab aatay hain aatay hon ge,

Us ki yaad ki baad-e-sabaa main aur to kya hota hoga,
Yunhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate hon ge,

Yaaro kuch to zikr karo us ki qayamat banhon ka,
Woh jo simat-te hon ge un main woh to mar jaate hon ge,

Mere saans ukharrte hi sab bain karen ge royen ge,
Yaani mere baad bhi yaani saans liye jaate hon ge..

Video: Kitne aish se rehte hon ge..









Another mesmerizing piece of poetry by Jaun elia is presented to you by Ranjish.com

The post Kitne aish se rehte hon ge kitne itraate hon ge.. appeared first on Ranjish.com.

Main khayal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai..

$
0
0

Main khayal hoon kisi aur ka

Main khayal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai,
Sar-e-aayina mera akss hai pass-e-aayina koi aur hai,

Main kisi ke dasst-e-talab main hoon to kisi ke harf-e-dua main hon,
Main naseeb hoon kisi aur ka mujhe maangta koi aur hai,

Ajab aitbar o be-aitbari ke darmiyaan hai zindagi,
Main qareeb hoon kisi aur ke mujhe janta koi aur hai,

Meri roshni tere hadh-o-haal se mukhtalif to nahin magar,
Tu qareeb aa tujhe dekh loon tu wohi hai ya koi aur hai,

Tujh dushmanon ki khabar na thi mujhe doston ka pata nahin,
Teri daastaan koi aur thi mera waqeya koi aur hai,

Wohi munsifon ki riwayeten wohi faislon ki ibaarten,
Mera jurm to koi aur tha pr meri saza koi aur hai,

Kabhi laut aayen to poochna nahin, dekhna unhe ghaur se,
Jinhe raaste main khabar hui ke yeh rasta koi aur hai,

Jo meri riyazat-e-neem-shab ko ‘saleem’ subh na mil saki,
To phir is ke maani to yeh huye ke yahan khuda koi aur hai..…

The post Main khayal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai.. appeared first on Ranjish.com.

Bhanwar main mashware paani se leta hoon..

$
0
0

Main har mushkil ko asani se leta hon

Bhanwar main mashware paani se leta hoon,
Main har mushkil ko aasaani se leta hoon,

Jahan danaayi deti hai koi moqa,
Wahan main kaam nadaani se leta hoon,

Woh mansoobe hain kuch abaad hone ke,
Main jin par raaye veerani se leta hoon,

Ab apne aablon ki ghaatiyon se bhi,
Samandar dekh asaani se leta hoon,

Nahin leta magar lene pe aaon to,
Main badlaa aag ka paani se leta hoon,

Nazzar-andaaz kar deti hai jab duniya,
Janam khud apni heraani se leta hoon,

Jahan mushkil main parr jate hain gird-o-pesh,
Wahan main saans asaani se leta hoon,

Lagata hai meri beenayi par tohmat,
Main fatway jis ki uryaani se leta hoon..…

The post Bhanwar main mashware paani se leta hoon.. appeared first on Ranjish.com.


Ek yaad ki maujoodgi seh bhi nahin saktey..

$
0
0

Ek yaad ki maujoodgi seh bhi nahin saktey
Yeh baat kisi aur se keh bhi nahin saktey

Tu apne gehan mein hai to main apne gehan mein
Do chaand hain ek abr mein geh bhi nahin saktey

Hum-jism hain aur dono ki bunyadein amar hain
Ab kaise bichhar jain ki Dah bhi nahin saktey

Dariya hoon kisi roz muawan ki tarah mil
Yeh kya ke hum ek laher mein beh bhi nahin saktey

Khuwaab aayen kahan se agar ankhain hoon purani
Aur subh tak is khof mein reh bhi nahin saktey…

The post Ek yaad ki maujoodgi seh bhi nahin saktey.. appeared first on Ranjish.com.

Dil main aur to kya rakha hai..

$
0
0

dil main aur to kya rakha hai

Dil main aur to kya rakha hai,
Tera dard chupaa rakha hai,

Itne dukhon ki tez hawaa main,
Dil ka deep jalaa rakha hai,

Dhoop se chehron ne duniya main,
Kya andher machaa rakha hai,

Is nagrii ke kuch logon ne,
Dukh ka naam davaa rakha hai,

Vaaada-e-yaaar ki baat na cherro,
Yeh dhoka bhi khaa rakha hai,

Bhool bhi jao beeti baaten,
In baaton main kya rakha hai,

Chup chup kyun rehte ho ‘nasir’,
Kya yeh rog laga rakha hai..…

The post Dil main aur to kya rakha hai.. appeared first on Ranjish.com.

Ja ke phir laut jo aye woh zamanaa kesa..

$
0
0

saleem ahmed poetry

Ja ke phir laut jo aye woh zamanaa kesa,
Teri aankhon ne yeh chairra hai fasaana kesa,

Aankh sharamsaar-e-tamanna hai, tu vada kar le,
Chaal kehti hai ke ab laut ke aana kesa,

Mujh se kehta tha ke saaye ki tarah saath hain hum,
Yuun na milne ka nikaala hai bahaana kesa,

Khud bhi socha tha bohat, us ne bhi pucha tha bohat,
Haal jab khud hi na samjhe to sunaana kesa,

Tujh ko paanay ki havass thi, so kise maloom tha,
Apne hi aap ko kho bethen ge, paana kesa..…

The post Ja ke phir laut jo aye woh zamanaa kesa.. appeared first on Ranjish.com.

Bazzm-e-takallufaat sajaane main reh geya..

$
0
0

Woh waqt ka jahaz tha

Bazzm-e-takallufaat sajaane main reh geya,
Main zindagi ke naaz uthaane main reh geya,

Taaseer ke liye jahan tehreef ki gayi,
Ik jholl bas wahin pe fasaane main reh geya,

Sab mujh pe mohr -e-jurm lagaate chale gaye,
Main sab ko apne zakham dikhaane main reh geya,

Khud haadsa bhi maut pe us ki tha dam-ba-khud,
Woh dusron ki jaan bachaane mein reh geya,

Ab ehl-e-kaarvaaan pe lagaata hai tohmaten,
Woh hamsafar jo heelay bahaane main reh geya,

Woh waqt ka jahaz tha karta lihaaz kya,
Main doston se haath milaane main reh geya,

Sunta nahin hai muft jahan baat bhi koi,
Main khaali haath aese zamaane main reh geya,

Bazar-e-zindagi se qazaa le gayi mujhe,
Yeh daur mere daam lagaane main reh geya,

Yeh bhi hai ek kaar-e-numayan ‘hafiz’ ka,
Kya saadaa-loh kaise zamaane main reh geya..…

The post Bazzm-e-takallufaat sajaane main reh geya.. appeared first on Ranjish.com.

Waqt khush khush kaatne ka mashwara dete huye..

$
0
0

waqt khush khush kaatne ka mashwara

Waqt khush khush kaatne ka mashwara dete huye,
Ro parra woh aap mujh ko hauslaa dete huye,

Us se kab dekhi gayi thi mere rukh ki murdani,
Phair leta tha woh muuh mujh ko davaa dete huye,

Be-zabaani bakhsh di khud-ehtisaabi ne mujhe,
Hont sil jaate hian duniya ko gilaa dete huye,

Apni raah masduud kar de ga yehi barrhta hujoom,
Yeh na sochaa har kisi ko raasta dete huye,

Aap apne qatal main shamil tha main maqtuul-e-shauqq,
Yeh khulaa mujh par talab ka khuun-bahaa dete huye,

Woh humen jab tak nazar aata raha takte rahe,
Geeli aankhon ukhrre lafzon se duaa dete huye,

Jaane kis dehshat ka saaya us ko mohr-e-lab hua,
Dar raha hai woh mujhe khul kar sadaa dete huye,

Be-aman tha aap lekin mojzaa hai yeh ‘ryaz’,
Haala-e-shafqat tha us ko aasra dete huye..…

The post Waqt khush khush kaatne ka mashwara dete huye.. appeared first on Ranjish.com.

Jab bhi teri yaadon ke silsla sa chalta hai..

$
0
0

sath sath chalta hai

Jab bhi teri yaadon ke silsla sa chalta hai,
Ik charaagh bujhta hai ik charaagh jalta hai,

Shart gham-gusaari hai warna yuun to saaya bhi,
Door door rehta hai, sath sath chalta hai,

Sochta hoon akhir kyun roshni nahin hoti,
Daagh bhi ubharte hain, chand bhi nikalta hai,

Kese kese hungaame uth ke reh gaye dil main,
Kuch pata magar un ka aansuyon se chalta hai,,…

The post Jab bhi teri yaadon ke silsla sa chalta hai.. appeared first on Ranjish.com.

Agaah apni maut se koi bashar nahin..

$
0
0

Hairat Allahabadi Poetry

Agaah apni maut se koi bashar nahin,
Samaaan sau barass ka hai pal ki khabar nahin,

Aa jayen raub-e-ghair main hum woh bashar nahin,
Kuch aap ki tarah humen logon ka ddar nahin,

Ik to shab-e-firaq ke sadmay hain jaan-gudaaz,
Andhair is pe yeh hai ke hoti sehar nahin,

Kya kahiye is tarah ke talaavuun-mizaaaj ko,
Vaade ka hai yeh haal, idhar haan udhar nahin,

Rakhte qadam jo vaadi-e-ulfat main be-dharrak,
Hairat‘ sivaa tumhare kisi ka jigar nahin..…

The post Agaah apni maut se koi bashar nahin.. appeared first on Ranjish.com.


Musalssal bekali dil ko rahi hai..

$
0
0

Nasir Kazmi Poetry

Musalssal bekali dil ko rahi hai,
Magar jeenay ki surat to rahi hai,

Main kyun phirta hoon tanha maara maara,
Yeh bassti chain se kyun so rahi hai,

Chale dil se umeedon ke musafir,
Yeh nagri aaj khaali ho rahi hai,

Na samjho tum isay shor-e-bahaaran,
Khizaan paton main chup kar ro rahi hai,

Hamare ghar ki deewaron pe nasir,
Udaasi baal kholay so rahi hai..…

The post Musalssal bekali dil ko rahi hai.. appeared first on Ranjish.com.

Zameen uthaaon ga aur asmaan pe rakh don ga..

$
0
0

zameen uthaon ga

Zameen uthaaon ga aur asmaan pe rakh don ga,
Jahan ki cheez hai ja ke wahan pe rakh doon ga,

Main ghar ke sath banaon ga aik choti dukan,
Phir apne khawb utha ke dukan pe rakh doon ga,

Mujhe dua pe zara bhi yaqeen nahin hai magar,
Jo tu kahe to diya aastaan pe rakh doon ga,

Yeh aag meri nahin hai jis ki hai utha lo mian,
Main sar-phiraa hoon na-jane kahan pe rakh doon ga..…

The post Zameen uthaaon ga aur asmaan pe rakh don ga.. appeared first on Ranjish.com.

Do chaar gaam raah ko hamvaar dekhna..

$
0
0

har admi main hote hain

Do chaar gaam raah ko hamvaar dekhna,
Phir har qadam pe ik nayi deewar dekhna,

Aankhon ki raushni se hai har sang aayina,
Har aayine main khud ko gunaahgaar dekhna,

Har aadmi main hote hain dass bees aadmi,
Jis ko bhi dekhna ho kayi baar dekhna,

Maidaan ki haar jeet to qismat ki baat hai,
Tuuti hai kis ke haath main talvaar dekhna,

Dariyaa ke is kinaare sitaare bhi phool bhi,
Dariyaa charrhaa hua ho to us paar dekhna,

Achi nahin hai sheher ke raston se dosti,
Aangan main phail jaaye na bazaar dekhna..…

The post Do chaar gaam raah ko hamvaar dekhna.. appeared first on Ranjish.com.

Hum hi main thi na koi baat yaad na tum ko aa sake..

$
0
0

hafeez jalandhari poetry

Hum hi main thi na koi baat yaad na tum ko aa sake,
Tum ne humen bhulaa diya hum na tumhe bhulaa sake,

Tum hi na sun sake agar qissa -e- gham sunay ga kon,
Kis ki zabaan khule gi phir hum na agar sunaa sake,

Hosh main aa chuke thay hum josh main aa chuke thay hum,
Bazm ka rang dekh kar sar na magar uthaa sake,

Ronaq-e-bazm ban gaye lab pe hikayaten rahin,
Dil main shikayaten rahin lab na magar hilaa sake,

Shauq-e-visaal hai yahan lab pe sawal hai yahan,
Kisi ki majaal hai yahan hum se nazar mil sake,

Aesa ho koi nama-e-bar baat pe kaan dhar sake,
Sun ke yaqeen kar sake ja ke unhe sunaa sake,

Ajazz se aur barrh gayi barhami mizaj-e-dost,
Ab woh kare ilaaj dost jis ki samajh main aa sake,

Ehl-e-zabaan to hain bohat koi nahin hai ehl-e-dil,
Kon teri tarah hafeez dard ke geet gaa sake..…

The post Hum hi main thi na koi baat yaad na tum ko aa sake.. appeared first on Ranjish.com.

Is se aagay to bas la-makaan reh geya..

$
0
0

yeh safar bhi mera

Is se aagay to bas la-makaaan reh geya,
yeh safar bhi mera raayegaan reh geya,

Ho gaye apne jismon se bhi be-neyaaz,
Aur phir bhi koi darmiyaan reh geya,

Raakh poron se jharrti gayi umar ki,
Saans ki naaliyon main dhuaan reh geya,

Ab to raasta bataane pe mamuur hoon,
Be-haddaf teer tha be-kamaaan reh geya,

Jab palat hi chale ho to ae deeda-varo,
Mujh ko bhi dekhna main kahan reh geya,

Mit geya hoon kisi aur ki qabar main,
Mera katbaa kahin be-nishaan reh geya..…

The post Is se aagay to bas la-makaan reh geya.. appeared first on Ranjish.com.

Viewing all 419 articles
Browse latest View live